dainik jagran akhbar men prakashit lekh pada jismen jat khap panchayaton dvara sagotriy vivah ka virodh kiye jane ka virodh kiya gaya hai. is sambandh men mera mat hai ki is bindu par gun dosh ke aadhar par bina poorvagrah ke vichar kiya jana chahiye. hindu dharm kee lagbhag har jati men sagotriy vivah ko varjit mana gaya hai.iske peechhe hamaare poorvajon dwara genetic karnon se aisa na karne ka pravidhaan kiya hai. yadi yah sahee tathhya hai to hindu marrij act men tadnusaar sanshodhan kiye jane men kya buraaee hai. jab hamara sambhidhan anya dharmon ke prati lacheela rukh apnakar unkee prathha ke anusaar pravidhan karta hai to sagotriy vivah ke virodh ko kyon galat mana jay.grameensamaj men sambhandhon va riston kee parampara shahree samaj se bhinn hai. gam men kisee vyakti ka damaad sabka damaad hota hai aur kisee ek ka sala sabhee ka sala hota hai. is bhavnaatmak lagaav ka hee kaaran hai ki gam kee bahoo beti poore gam kee bahoo betee hotee hai.isee kaaran kisee gam kee betee us gam kee bahoo naheen ho saktee hai.shahree vyakti iska anubhav naheen kar saktaa hai kyonki vah to apnee upar neeche va idhar udhar ke flats men rahne vaale vyaktion ka naam bhee naheen janta hai. shahree sabhyataa par kataaksh kartee in panktiyon ko dekhiye.
mera padosee aadmee itnaa hee keval janta hoon
maheeno se rah rahaa hoon naam tak nahee janta hoon.
shahron men to padosee ko padosee taktaa hai aise
jangal kee veeraniyon men khada ho koee thhoothh jaise.
ghayal hokar padaa hai ek sadak par ghaayal koee
bheer gujree lekhte naheen farj ka kaayal koee
gav men to aaj bhee sambhav naheen yah ho sake
tadpate ko chhor koee raat men bhee so sake
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment